samundar ne ye khali sipiyan kaise ugal din aa ke sahil par main pahle bhi kaha karta tha tujh ko yaad ho shayad ki teri ruh ke gahre samundar mein mera dil ek sipi hai magar main ne kabhi teri mohabbat ko numaish mein nahin rakkha main un logon se chidta tha jo afsane kaha karte hain yaron se mohabbat ke magar waise bhi duniya mein kisi ki kaun sunta hai sunata hai koi jab apni baaten sunne wali apni baaten yaad karte hain magar ye kaisi raaten hain ki aksar sote sote chaunk uthta hun mujhe to nind bhi ek qarz chashm-e-ambar hai main sota jagta rahta hun ek aise musafir ki tarah jis ko kisi chhote se station pe gadi se utarta ho tere hilte hue hathon se ye kaisi hawa aai meri jaan tujh se rukhsat ho ke main kitna akela tha aur duniya so rahi thi us dil ki tarah jis ne abhi rona na sikha ho koi konpal kabhi zor-e-numu mein sang-basta khak se ladti hui bahar nikalti hai ki jaise shokh bachche hath aur daman chhuda kar ghar se bahar bhag jaen aur guzargahon pe so jaen guzar-gahon se bachchon ko utha kar lao aur gahwara-e-jaan mein sula do wo jagenge to un ke khwab pure ho chuke honge so aakhir yun hua ummid ki shakhon pe aise barg-o-bar aae meri jaan tera milna tishnagi ke dasht mein wo aab-e-taza tha jo shabnam bhi hai dariya bhi hai aur ruh mein gham ho to aansu bhi mujhe aansu nahin milte nahin milte nahin milte wo shab bhi kaisi shab thi jis ka naqd-e-subh ab tak qarz hai jo mujh se puchhta hai ab mehnat ko kahan le jaoge kis dil mein rakhoge main chup tha tu bhi chup thi aur khamoshi ke lamhon ke guzarte qafile sanson ki aawaz-e-jaras ja rahe the ek manzil ki taraf jo nisf jannat nisf dozakh thi main kitna sang-dil hun jo teri jannat pe khush hota nahin dozakh pe hansta hun