kuchh dur talak kuchh dur talak wo lamha us ke sath chala jab us ne dil mein ye socha ye girti diwaren ye dhuan ye kali chhaten ye andhe diye sanwlate hue sare chehre ab us ki nigahon se ojhal ho jaenge jab nagar nagar ki siyahi in tedhi-medhi sadkon ki aawaragardi hanste jism khanakte pyalon ki mausiqi us ko ras na aai us ne kaha ab aao laut chalen ek sham wo apne ghar pahuncha aur us se milne ko aae sab sathi us ke bachpan ke sab kahne lage in jag-mag karte shahron ka kuchh haal batao apne safar ki kuchh rudad kaho wo khamosh raha wo dekh raha tha us maile se taq ko jis par ab bhi ek ghadi rakkhi thi aur wo band padi thi moment's death