ye puchha ek nujumi se khatun ne sawal mujh ko batao to zara qismat ka mere haal karke hisab-e-zaicha us ne bata diya qismat ka haal is tarah un ko bata diya hoga achanak aap ke shauhar ka intiqal aur phir milega aap ko ek dam bahut sa mal khatun bolin itna to khud manti hun main main bewa hone wali hun ye jaanti hun main ye bhi main jaanti hun ki daulat main paungi bas ye bata do main to nahin pakdi jaungi