ek sahib ne nujumi se kaha ye to bata kah raha hai kya sitara ab meri taqdir ka hoti hai dain hatheli mein mere khujli bahut ye bata mera muqaddar kya mujhe dikhlaega zaicha dekha nujumi ne to batlaya unhen ye nishani hai tujhe paisa bahut mil jaega phir kaha bain hatheli mein bhi khujli hai bahut to kaha ki sab ye paisa kharch bhi ho jaega phir kaha ki dahine talwe mein khujli hai bahut to ye batlaya ki tu lambe safar par jaega phir kaha ki baen talwe mein bhi khujli hai bahut to kaha tu us safar se jald wapas aayega phir kaha ki pith mein bhi mere khujli hai bahut tab nujumi ne bahut jhunjhla ke ye us se kaha tu kahan se aa gaya hai kan khane ke liye tujh ko kharish ka maraz hai doctor ke pas ja