purani qabren adhure chehre ugal rahi thin adhure chehre purani qabron ki sard-za bhurbhuri udasi jo apne upar gira rahe the to aariz o chashm o lab ki tashkil ho rahi thi wo ek kun jo hazar sadiyon se multawi tha ab us ki tamil ho rahi thi qubur-e-khasta se gah khezan o gah uftan, hujum-e-isyan har ek rishte se, har talluq se mawara tha gae dinon ki mohabbaton ko, raqabaton ko, saubaton ko bhula chuka tha hujum apne azal ke maqsum ke mutabiq khud apne anjam ke junun mein kashan kashan rah katta tha zamana apne jamal ko tark kar chuka tha jalal us ke buzurg chehre ki har shikan mein dubak gaya tha buzurg chehra, hameshgi ka qadim chehra azal se is din ka muntazir tha ki kab ye amboh-e-khaksaran khud apne aamal ke khanakte hue salasil mein gharq aae gunah barte sawab pae