ibtida se kabhi nazm hoti nahin aur kabhi ibtida se bhi pahle kahin nazm hone ke aasar milte hain jaise kahin qabl az zindagi zindagi ke tasawwur se pahle magar zindagi se bhi behtar baramad hui koi tahzib tahzib milti to hai par kabhi ibtida us ki milti nahin ibtida se bhi pahle talak zehn jata nahin aur tahzib se lena-dena bhi kya nazm ki ibtida nun se nun legi nahin ye huruf-e-tahajji ka ek rukn hai jim se jism che se chamak dal se dalda scene se sin upar ke tin waw se wahm jo kis qadar aham hai nazm ke wast mein jo ki hota nahin daera to nahin triangle nahin hexagonal nahin khat nahin wawe hai yani aawaz jaisi koi chiz hai magnet ki tarah koi shai hai hawa sa koi moamla hai koi current hai jis ke lagne se bhi nazm marti nahin nazm ki intiha kyon ki hoti nahin khatm ho jati hai beach mein hi kahin jis tarah kuchh jawan-marg ya intiha par pahunch kar bhi tishna hi rahti hai jaise wo sab zinda lashen ki jo maut ki date ke baad bhi ji rahi hain dawa apni muddat mukammal kiye ek bimar gahak ki rah dekhti hai ye pani ki lalach bahut badh gai hai jo tanki ko bhar kar labaalab baqaya diwaron ki buniyaad mein chhod dete hain bijli ke aane ka waqt aa bhi jae magar in ki apni ghadi hai niji daftaron ke mulazim ki chhutti ke auqat hote hain lekin use der tak baithne aur bithane mein koi qabahat nahin hai sitaron se aage jahan aur bhi hain