jahan chidiyan ghaneri jhadiyon mein chahchahati hon jahan shakhon pe kaliyan nit nai khushbu lutati hon aur un par koyalen ku ku ke mithe git gati hon wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho jahan barsat ke mausam mein sabza lahlahata ho hawa ki chhed se ek ek patta thartharaata ho jahan chashmon ka pani narm lai mein gungunata ho wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho jahan unche pahadon par ghataen ghir ke aati hon hawa ki god mein nilam ki pariyan muskuraati hon aur apne nilgun honton se moti mein lutati hon wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho jahan nahron mein bahta pani moti sa chhalakta ho jahan chaaron taraf gulzar mein sabza lahakta ho jahan phulon ki khushbuon se ban ka ban mahakta ho wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho jahan phulon ki khushbuon se ban ka ban mahakta ho jahan baghon mein aur kheton mein har ya dil lahakta ho jahan tesu ke ek ek phul mein shoala dahakta ho wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho jahan aamon ke hon bagh aur koi rakhwala na ho hargiz koi kutta bhi mali ne jahan pala na ho hargiz aur amman ji sa koi dekhne wala na ho hargiz wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho ilahi mere dil ki aarzu jaldi se puri ho wahan le chal jahan is fasl mein jaana zaruri ho mari ho shimla ho solan ho dalhozi masuri ho wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho