wo bosida kapdon mein malbus maili kuchaili wo dubli si ladki wo masum aur bholi si ladki jo har roz aati thi meri dukan par jhijhakte hue apne maile se hathon ko aage badha kar ye kahti thi mujh se bade bhole-pan se ki babu badi bhuk lagti hai bas aath aane hi de do magar aaj phir chhe baras baad jab main ne dekha to itna bada farq paya hai us mein ki wo saf suthre libason mein kis shan se ghumti hai jawani ki poshak mein us ka gora badan aate jate hue rahgiron ko apni taraf khinchta hai wo husn-o-jawani se nikhri hui hai use waqt ne ek tohfa diya hai suna hai ki ab pet bharne ki khatir wo hathon ko phailae phirti nahin hai wo ab shahr ke naujawanon ke hathon raison ke hathon sharifon ke hathon jawani ka mahka chaman bechti hai wo apna katila sajila rasila badan bechti hai