tumhein mujh se mohabbat ho aur is darja mohabbat ho ki mere bin tumhaari zindagani dard ho jae zara jo ro padun main to tumhaare qahqahon ka rang dhul kar zard ho jae tumhein mujh se mohabbat ho aur is had tak mohabbat ho ki mere nam ki khushbu tumhaari be-sukun nindon ka ghar aabaad karti ho wo meri yaad ki chadar lipat kar tum se tum ko zist ke be-zar-kun mamul se aazad karti ho tumhein mujh se mohabbat ho aur is tarah mohabbat ho tumhaare gird tum ko har ghadi main hi dikhai dun tumhaara aaina main hun tumhaara waqt bhi main hun koi aawaz gunje saz gunje ya koi sargam tumhein har ek nawa-e-nau mein bas main hi sunai dun tumhein mujh se mohabbat ho mohabbat hi mohabbat ho ye kahna chahti hun main magar phir khauf aata hai ki gar jo puchh baithe tum ki mujh ko bhi to tum se thik aisi hi mohabbat honi chahiye na mere dil ko bhi tum se be-tahasha chah-o-raghbat honi chahiye na to is pe kya kahungi main koi be-rabt sa jumla koi uljha hua fiqra nahin kuchh bhi nahin is par jawaban chup rahungi main ki meri jaan kuchh jazbe zaban ka sath chahe bin faqat bhigi hui aankhon se jhalken to hi behtar hai aur aansu na-rasai ke zamane ki nazar se dur tanha andheri raat ki banhon mein chhalken to hi behtar hai