ek laDki ki maut

is se qabl
maut tumhein ek qatra bana de

dusron ki palkon par
atak sakne ki quwwat se labrez

agar tum padhna chaho in shabdon ko
jo hawa par rakhe jate hain

ki un ki khushbu
qaid ki zillat se ru-shanas na ho

in mein ishaara hai
kohsaron par buland hone ka

jab chhote chhote patthar
ludhkane ki koshish karte hain niche

aur tum
un ke saron ko kuchal kar

apni sanson mein buland hoti ho
maidanon ka ishaara

jahan kuchh der qabl ghar aabaad the
ab wahan taza hawa

ruki hui siskiyan baha le gai hai
purane log

is liye nae-pan se ghabraate hain
jaldi badalte waqt ka nazara

yahan se behtar kahan hoga
tum nae-pan se khauf-zada hue baghair

nai soch ka hathiyar
panje mein jakde

us ki aankhon par shoale barsa dena
tumhaare phephadon mein atakti sansen

na-umidiyon ko mayus kar ke
zindagi ki suhulat talash karen

to unhen padhna
agar chaho to

shabd apna rang badalte rahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close