wo ek masum si nannhi si gudiya jise haiwaniyat ne noch dala darindo sharm tum ko kyun na aai tumhaare ghar bhi hogi man ki jai use sharmindagi mahsus hogi darinda jis ka tum jaisa hai bhai tumhaare janm par dhikkar nicho pade tum par khuda ki mar nicho jo tum ne wahshi-pan ka khel khela kisi masum ne ye kaise jhela gadhon ki tarah us ko noch dala hawas ne kar liya munh apna kala bana kar maut ka us ko niwala koi mazlum ko na yun satae kisi par bhi na aisa waqt aae hua hai zulm wo masumiyat par sune to aatma bhi kanp jae hamari bachchiyon ko to khuda hi hawas ke in darindon se bachae