lamha dil ke bahut pas se guzra hua sirf ek lamha baha le gaya hai jaane kitne khwabon khwahishon aur mansubon ko bacha hai haddiyon tak dhansa hua sannata rukti hui sansen dubti hui nabz aur sard hua jism phir koi tez hawa ka jhonka dher sari gad-mad aawazen chikh hansi aur muskurahat ghar daftar biwi bachche aur aainda bis barson ka mansuba bhagti hui aadi tirchhi taswiren ek ke baad dusre be-rabt manazir aur phir thahar gaya hai guzre hue lamhe ka saya dara-dara sahma-sahma dil aur thar-thar kanpta hua jism