tum ne kya dekha yahan kuchh bhi nahin hum ne kya paya yahan kuchh bhi nahin be-kasi hae tamanna ki na duniya hai na din la se aaghaz fasane ka hua la se tahzib zamane ki hui la ki tafsir nahin hai mumkin la hi se ishq ka aaghaz hua ishq hai ek bala ishq saffak o hawasnak darida-daman jis ke qadmon se bipharte hue dariya umde jis ki aankhon se dahakte hue hire nikle jis ke hathon pe chamakte hue mahtab utre ishq wo aag ki jo aur jila de jae ishq wo khwab ki jo nind uda le jae is qadar sarkash o saffak ki bas dasht-e-kashan se dilli ka safar nigah-e-jalwa-parast aur nafas-e-sidq-guzin ek ubhai-chand mere nama-e-amal mein hai aalam-e-kul khwab mein hai sang-e-marmar ki usi masjid ke surkh zinon pe lahu bahta hai aaj bhi kal ki tarah hansta hai kufr masjid mein bahata hai lahu ishq sajde mein kahe shukr-allah shahabaad bhi tufan mein bahta jae aur 'dara' hai kisi soch mein gharq masnad-e-adl sipah-salar aur takht mein ham-fikri hai ek hai mulla-qawi ek hai bas yahan aalamgir aur maqtal mein akela 'sarmad' rukh-e-tarikh badalne ko hai us ke ashaar hi se takht laraz jata hai aaise adwar kai bar zamin par guzre kaise talwar ne maftuh qalam karne ko hath kate hain zaban kati hai sar kate hain hum ne dekha hai khuli aankhon se aaj ki kaun kare ab tazim kal ki takzib nahin ho sakti rakh se ghar to nahin ban sakte koh mein dar to nahin ban sakte khwab fariyaad nahin kar sakte khwab dekha hai khuli aankhon se chand ko khun mein nahate hum ne sar khule dasht ko matam karte aur mahallat ko khandaron mein badalte dekha kizb ko adl ka har faisla karte dekha takht ko waqt ka firaun bhi bante dekha zer-e-shamshir ye 'sarmad' ne kaha hanste hue masnad-e-adl-o-musawat yahan kuchh bhi nahin la bhi hai ek guman aur guman kuchh bhi nahin