chamak mera tasawwur khushiyon ka jhonka lams-e-rukh-e-gul rahat-e-shab-e-mahtab farhat-e-subh-e-bahaar naghmagi bhuk dard ki kasak gham-e-bechaargi azm-e-jawan surat-ha-e-yaran-e-be-yar ehsas-e-silsila-ha-e-makr-o-fareb naqsh-ha-e-kashmakash-e-marg-o-zist karb-e-khak-e-hiroshima idrak-e-rag mein ye chubhte hue lakhon nashtar shiddat-e-dard tu main har koi jo nigah-o-dil mein aae roti atom-bomb tu main dhundalka lamhe ki maut ek aur lamhe ki jalwagari umr yun hi tamam hoti hai