ek makDa aur makkhi

ek din kisi makkhi se ye kahne laga makda
is rah se hota hai guzar roz tumhaara

lekin meri kutiya ki na jagi kabhi qismat
bhule se kabhi tum ne yahan panw na rakkha

ghairon se na miliye to koi baat nahin hai
apnon se magar chahiye yun khinch ke na rahna

aao jo mere ghar mein to izzat hai ye meri
wo samne sidhi hai jo manzur ho aana

makkhi ne suni baat jo makde ki to boli
hazrat kisi nadan ko dijega ye dhoka

is jal mein makkhi kabhi aane ki nahin hai
jo aap ki sidhi pe chadha phir nahin utra

makde ne kaha wah farebi mujhe samjhe
tum sa koi nadan zamane mein na hoga

manzur tumhaari mujhe khatir thi wagarna
kuchh faeda apna to mera is mein nahin tha

udti hui aai ho khuda jaane kahan se
thahro jo mere ghar mein to hai is mein bura kya

is ghar mein kai tum ko dikhane ki hain chizen
bahar se nazar aata hai chhoti si ye kutiya

latke hue darwazon pe barik hain parde
diwaron ko aainon se hai main ne sajaya

mehmanon ke aaram ko hazir hain bichhaune
har shakhs ko saman ye mayassar nahin hota

makkhi ne kaha khair ye sab thik hai lekin
main aap ke ghar aaun ye ummid na rakhna

in narm bichhaunon se khuda mujh ko bachae
so jae koi in pe to phir uth nahin sakta

makde ne kaha dil mein suni baat jo us ki
phansun ise kis tarah ye kam-bakht hai dana

sau kaam khushamad se nikalte hain jahan mein
dekho jise duniya mein khushamad ka hai banda

ye soch ke makkhi se kaha us ne badi b
allah ne bakhsha hai bada aap ko rutba

hoti hai use aap ki surat se mohabbat
ho jis ne kabhi ek nazar aap ko dekha

aankhen hain ki hire ki chamakti hui kaniyan
sar aap ka allah ne kalghi se sajaya

ye husn ye poshak ye khubi ye safai
phir us pe qayamat hai ye udte hue gana

makkhi ne suni jab ye khushamad to pasiji
boli ki nahin aap se mujh ko koi khatka

inkar ki aadat ko samajhti hun bura main
sach ye hai ki dil todna achchha nahin hota

ye baat kahi aur udi apni jagah se
pas aai to makde ne uchhal kar use pakda

bhuka tha kai roz se ab hath jo aai
aaram se ghar baith ke makkhi ko udaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close