abhi kuchh kharashen hain chehre pe mere abhi waqt ke sakht nakhun ki yaaden satati hain mujh ko daraati hain mujh ko miyan mom khwabon ki mere pighalti na kaise meri samt suraj uchhaala gaya tha main shoalon ki daldal mein dhansne laga tha mere dast-o-pa sab jhulasne lage the bahut shor mujh mein utha tha har ek shai samaat se khali mujhe ghurti thi nazar mein koi rasta hi nahin tha kisi se koi wasta hi nahin tha achanak kisi ne pukara tha mujh ko utho subh hone lagi hai saba bagh mein rang bone lagi hai hawa ke dariche mahakne lage hain manazir faza ke chamakne lage hain magar ye sadaqat hai 'amjad' abhi kuchh kharashen hain chehre pe mere abhi aaina muzmahil hai abhi aaina muzmahil hai