ek mamuli sa manzar

thami hui hai der se barish
der se ek kaghaz ki kashti

tair rahi hai pani mein
kashti jis kaghaz se bani hai

us par koi phul bana hai
phul jo is duniya ka nahin hai

do chinte kashti ke musafir bane hue hain
dag-mag dag-mag

dag-mag dag-mag
kaghaz ab galne bhi laga hai

kashti side stand wali ek cycle jaise
ek taraf ko jhuki hui hai

ek bhi jhonka
us kashti par ek qayamat la sakta hai

ek titli
jo jabr-e-bahaar se bachi hui hai

phul dekh kar
phul jo is duniya ka nahin hai

us kashti par aa baithi hai
jaise baadban khulte hain na

us ne apne par khole hain
dubti kashti sanbhal gai hai

cheenton ki jaan bachi hui hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close