din dhale mandiron ke kalas masjidon ke manare gharon ki chhaten sone chandi ke pani se dhulne lage qulla-e-koh se chashm-e-nazzara lekin badi dur tak pighle sone ki chadar ke niche tadapta hua gahri zulmat ka ek bahr-e-zakhkhar bhi dekhti rah gai kaisa manzar hai ye main abhi umr ke dhalte suraj ki duniya nahin phir bhi mere sunahre dopahre tabassum ke niche kahin aansuon ka samundar na bechain ho niche aao zara rafat-e-baam se aur dekho kabhi kaisa aalam hai ye