mere naghme to riwayat ke paband nahin tu ne shayad yahi samjha tha nadim tu ne samjha tha ki shabnam ki khunuk-tabi se main tera rang mahal aur saja hi dunga tu ne samjha tha ki pipal ke ghane sae mein apne college ke hi ruman sunaunga tujhe ek rangin si titli ke paron ke qisse kuchh sehr-kar nigahon ke bayan kuchh jawan sal adaon ke nishan kuchh karunga lab o rukhsar ki baaten tujh se tu ne shayad yahi samjha tha nadim tu ne ye kyun nahin samjha ki mere afsane tanz ban kar teri sanson se ulajh jaenge zindagi chand ki thandak hi nahin zindagi garm mashinon ka dhuan bhi hai nadim is dhuen mein mujhe zanjir nazar aati hai mujh ko khud teri hi taswir nazar aati hai ghaur se dekh zara dekh to le tujh ko dar hai teri tahzib na jal jae kahin mujh ko dar hai ye riwayat na jal jaen kahin phir ek din usi khakistar se ek nae ahd ki tamir to ho jaegi ek insan naya ubhrega subh aur sham ki milti hui sarhad ke qarib apne chehre pe shafaq-zar ki surkhi le kar ek insan naya ubhrega mere naghme to riwayat ke paband nahin main riwayat ki takhliq kiya karta hun