khwab-parast! ujala na kar mera khun safed aur rang faq hai mujhe nakhun se kured, aa chal ke kahin baithen baadshah ke huzur khade khade main shal ho gai mom-batti ki tarah mujhe algani par tang de ki meri dohragi ka bojh ban batne wale pe ho tujh par na ho khwab-parast! mujhe jaga to le phir so jaana kyunki nahin jaana jis ne jo jaana bhid bahut hai aur beganagi us se bhi bahut lekin mein tujhe bahuton mein se bhi dhund lungi ba-mohabbat ba-iman khushbu daricha daricha phiri aur kahti thi sadiyon ka kaha bund bund mitti kashid karne ka fan kaho kah chuko khun-baha anaron ke khet poshida khazanon ke khwab anguthi pe mohr teri aankhen aur tu hakim-e-shahr mehrban! mehrban! mehrban azab-e-zist se hukm, rihai ka de ek mauqa mujhe jag-hansai ka de!