dam-e-rukhsat tape hue lahje mein khamosh rahne wala aankhon tak sulag utha hoga us ki sanson se mera dam ruk gaya aur meri hatheliyan dhadakne lagin mera mard pure chand ki tarah mujh par chha gaya wo aag se murattab hai mere ang ang mein pighalne ki aarzu hai us ke lams mein mere khamir ki khushbu kahan se sama gai ki main apni talash mein us tak aa pahunchi us ki aankhon mein meri aankhen thin jab use mujh se juda kiya gaya wo darwaze se bahar bhi darwaze ke andar tha aur main darwaze ke andar bhi darwaze se bahar thi