tum ek mujassama jo fankar ki ungliyon mein parwan nahin chadha tum ek mujassama jis par sang-e-marmar narm pad gaya main un ungliyon ka dukh jo tumhein khalq karne ke wajd se nahin guzra aur us dil ka jo khil nahin saka tumhaari poron ke sath sath tum aati jati sansen main dukh un sanson ka jo tum mein shamil nahin huin dukh un aankhon ka ki jab khul rahe the tumhaari gawah nahin rahen tum ek phul apni zat se khila hua main dukh tumhaare badan se zat tak na-rasa raston ka un ke faslon ka main dukh apne chehre ka jis ne apne chehre ka jis ne apni tamam shiknen tum par narm kar den dil ke us khala ka jo tumhein dekh kar aasman jitna ho gaya main dukh apne khwab ka tum ne jis ki mazduri nahin di main dukh apne khwab ka jo tumhaare badan par pura ho gaya