kas bojh se jism tutta hai itna to kada safar nahin tha wo chaar qadam ka fasla kya phir rah se be-khabar nahin tha lekin ye thakan ye ladkhadahat ye haal to umr bhar nahin tha aaghaz-e-safar mein jab chale the kab hum ne koi diya jalaya kab ahd-e-wafa ki baat ki thi kab hum ne koi fareb khaya wo sham wo chandni wo khushbu manzil ka kise khayal aaya tu mahw-e-sukhan thi mujh se lekin main soch ke jal bun raha tha mere liye zindagi tadap thi tere liye gham bhi qahqaha tha ab tujh se bichhad ke sochta hun kuchh tu ne kaha tha! kya kaha tha