zindagi lafz hai maut bhi lafz hai zindagi ki tarashi hui awwalin saut se sarhad-e-maut tak lafz hi lafz hain sans bhi lafz hai sans lene ki har ek zarurat bhi lafzon ki muhtaj hai aag pani hawa khak sab lafz hain aankh chehra jabin hath lab lafz hain subh-o-sham-o-shafaq roz-o-shab lafz hain waqt bhi lafz hai waqt ka saz-o-ahang bhi rang bhi sang bhi amn bhi jang bhi lafz hi lafz hain phul bhi lafz hai dhul bhi lafz hai lafz qatil bhi hai lafz maqtul bhi lafz hi khun-baha lafz dast-e-dua lafz arz-o-sama subh-e-fasl-e-bahaaran bhi ek lafz hai sham-e-hijr-e-nigaran bhi ek lafz hai raunaq-e-bazm-e-yaran bhi ek lafz hai mahfil-e-dil-figaran bhi ek lafz hai main bhi ek lafz hun tu bhi ek lafz hai aa ki lafzon ki surat fazaon mein mil kar bikhar jaen hum ek naya lafz takhliq kar jaen hum aa ki mar jaen hum