sari musibaton ko jo hans hans ke sah gae dar-e-fana mein sirf wahi zinda rah gae wo josh tha ki phand gae kohsar bhi wo azm tha ki utthe to ta-mehr-o-mah gae sinon mein sabr-o-zabt ki wo tez aag thi zulm-o-sitam ke koh-e-giran gal ke bah gae tarikiyon ko matla-e-anwar kah gae zulm-o-sitam ko tala-e-bedar kah gae ta-umr yun to mohr-ba-lab hi rahe magar afsana-e-bulandi-e-kirdar kah gae aai koi bala to lagaya use gale tuta koi sitam to use pyar kah gae kadki kaman to us ko kiya naghma-e-hayat khanjar kabhi chubha to use khar kah gae roke gae to aur badhi quwwat-e-amal zakhmi hue to jism ko gulnar kah gae tauq-o-rasan ko nam diya zulf dost ka zindan ko saya-e-mizha-e-yar kah gae husn-e-hayat ke wo ada-ashna ki jo har qatl-gah ko misr ka bazar kah gae kis aan-ban ke wo shahidan-e-qaum the jo tegh ko bhi abru-e-khamdar kah gae yaadash-ba-khair khak-e-watan teri god mein kya log the jo dar ko dildar kah gae