chhutpute ke ghurfe mein lamhe ab bhi milte hain subh ke dhundalke mein phul ab bhi khilte hain ab bhi kohsaron par sar-kashida hariyali pattharon ki diwaren tod kar nikalti hai ab bhi aab-zaron par kashtiyon ki surat mein zist ki tawanai zawiye badalti hai ab bhi ghas ke maidan shabnami sitaron se mere khak-dan par bhi aasman sajate hain ab bhi khet gandum ke tez dhup mein tap kar is gharib dharti ko zar-fishan banate hain saye ab bhi chalte hain suraj ab bhi dhalta hai subhen ab bhi raushan hain raaten ab bhi kali hain zehn ab bhi chatyal hain ruhen ab bhi banjar hain jism ab bhi nange hain hath ab bhi khali hain ab bhi sabz faslon mein zindagi ke rakhwale zard zard chehron par khak odhe rahte hain ab bhi un ki taqdiren munqalib nahin hotin munqalib nahin hongi kahne wale kahte hain gardishon ki ranai aam hi nahin hoti apne roz-e-awwal ki sham hi nahin hoti