is sal chhuttiyon ka bana ye programme jaenge dost sair ko mirrikh ki tamam duniya se dur apni khalaon mein jaenge hum dusre jahan ki khabar le ke aaenge unchi bahut udan hai lamba bada safar nikle khala ki sair ko rocket mein baith kar phir hum ne ja ke dal di mirrikh par kamand iqbaal ke iqbaal ko hum ne kiya buland lambe safar ke baad jo pahunche mirrikh par dekhe qadam qadam pe ajube mirrikh par ahl-e-mirrikh ne kaha hamein khush-amdid samjho yun hum ko apni wafa se liya kharid makhluq ek ajib hi dekhi mirrikh par the bandaron se jism to chiton se un ke sar aate nazar nahin the ba-zahir to un ke par sab udte phir rahe the khala mein idhar udhar ruk ruk ke ud rahi thin khalaon mein titliyan bin aab tairti thin fazaon mein machhliyan rangin khushnuma the sitare mirrikh par nazron ko lutte the nazare mirrikh par sarsabz rang chand tha sarsabz raat thi mahaul pur-sukun tha ghamon se najat thi thin gahri khaiyan kahin unche pahad the chandi ke sabza-zar the sone ke jhad the thin raunaqen karachi ki mausam mari ka tha dil mein khayal bhi na koi be-ghari ka tha mahsus kam hi hoti wahan par thi bhuk pyas khane ko phal laziz the charne ko mithi ghas latki hui shajar pe thin pani ki botalen hairan-kun khala mein muallaq thin hotelen mauqa jo hath aaya tha hum ne na der ki ghume phire mirrikh pe ji bhar ke sair ki do mah ki chhuttiyan gain do din mein hi guzar buddhu tamam laut ke phir aae apne ghar mirrikh ka safar to bada la-jawab tha lagta hai jaise dekha koi hum ne khwab tha