main hayat-e-muhmal ki justuju mein safar zamane ka kar chuka hun main ek juari ki tarah sari bisat apni luta chuka hun main aadmi ke azim khwabon ki saltanat bhi ganwa chuka hun na jeb rakht-e-safar ka tohfa liye hue hai na zehn mera kisi tasawwur ka dukh uthane kisi mohabbat ka bojh sahne ke waste ikhtilal mein hai main fateh ki tarah chala tha jo raste mein mile mujhe wo tegh meri se kat gae the main zairon ke libas mein qarz khun-baha ka utarne, sar munda ke yunhi nikal gaya tha ki laut aaunga ek din phir bataunga main hayat-e-muhmal ka raaz kya hai? ye khwab hai ya khayal hai? main hayat-e-muhmal ki justuju mein safar zamane ka kar chuka hun main be-nawa be-giyah aur be-samar shajar hun jo sau zamanon ki dhul mein be-basar bhikari ki tarah apni hi aastin mein laraz raha hai!