hawa dhund ke phaile lab chumti hai kahan zindagi hai? kahan zindagi ke nishan hain ki tum shahr mein ho jahan ek hi rup hai jo hamesha rahega utho bawle ab tumhein kis tamanna ne manzil ka dhoka diya hai ki tum sans ki ot mein chup khade sochte ho yahan har nafas be-sada hai yahan har ghadi ab sisakti si zanjir har ek wafa tirgi ka sutun hai chalo khwahishen dhundne ban-sanwar ke chalo khwahishen dhundni hain nahin to yahi khamushi bhut ban kar gharon ke kiwadon ke pichhe hamesha daraati rahegi