qadam do qadam chal ke thak sa gaya hai hamare muqaddar ka insan darakhton ne apne kai sare pazhmurda patte hawaon ke ghar se bulae hain thake-haare rah-raw pe saya karen us ki khatir shikasta dilon ka koi git sab mil ke gaen! zamin ne kaha hai, ye insan nahin tha wagarna yun raste mein apne irade ki hitak na karta yun apne hi sae se be-kar khaif na hota na manzil se ghabra ke raste mein girta yun apne gharane ki tauhin karta! hamare muqaddar ka insan manzil-ba-manzil sitaron se guzra hai, bazm-e-nujum-o-qamar jagmaga kar nishan-e-qadam ban gai hai shikasta dilon ka sanam ban gai hai khudai ke phaile hue silsile hain haram ban gai hai