ye puri kaenat main sirf tumhaare nizam-e-shamsi ki baat nahin kar raha hun is zat ka aaina hai jo ek lafz-e-kun se aise kitne hi nizam hae shams khalq kar sakti hai aur aaina kabhi kizb-bayani se kaam nahin leta tum jo nafs-e-ammara ke aaine se dekhne ke aadi ho kabhi khud ko nafs-e-mutmainna ke darpan mein nahin dekhte agar tum dekh sako to qudrat ki neamaten tumhein kabhi sajda-e-shukr se uthne na den sadaf samundar se alag ho kar moti paida nahin kar sakta aur bahr-e-sadaqat mein utre baghair tum zindagi ke sadaf se gauhar-e-nashat hasil nahin kar sakte