ek nazm kahin se bhi shurua ho sakti hai juton ki jodi se ya qabr se jo barish mein baith gai ya us phul se jo qabr ki paini par khila har ek ko kahin na kahin panah mil gai chintiyon ko ja-e-namaz ke niche aur ladkiyon ko meri aawaz mein murda bail ki khopadi mein gilahri ne ghar bana liya hai nazm ka bhi ek ghar hoga kisi jila-watan ka dil ya intizar karti hui aankhen ek pahiya hai jo banane wale se adhura rah gaya hai ise ek nazm mukammal kar sakti hai ek gunjta hua aasman nazm ke liye kafi hota hai lekin ye ek nashta-dan mein ba-asani sama sakti hai phul aansu aur ghantiyan is mein piroi ja sakti hain ise andhere mein gaya ja sakta hai tyauhaaron ki dhup mein sukhaya ja sakta hai tum ise dekh sakti ho khali bartanon khali qabzon aur khali gahwaron mein tum ise sun sakti ho hath-gadiyon aur janazon ke sath chalte hue tum ise chum sakti ho bandar-gahon ki bhid mein tum ise gundh sakti ho patthar ki mand mein tum ise uga sakti ho podine ki kiyariyon mein ek nazm kisi bhi raat se tarik nahin ki ja sakti kisi talwar se kati nahin ja sakti kisi diwar mein qaid nahin ki ja sakti ek nazm kahin bhi sath chhod sakti hai baadal ki tarah hawa ki tarah raste ki tarah bap ke hath ki tarah