aaj kya hai jo mila shokh nigahon ko qarar? kya hua husn ki masum hayaon ka waqar aaj kyun tum mujhe dekhe hi chale jate ho? dafatan tut gaya kis liye bajta hua saz kya hue naghme wo ab kyun nahin aati aawaz aaj honton pe khamoshi hi khamoshi kyun hai? khub tadbir nikali hai manane ki mujhe aatish-e-soz-e-mohabbat mein jalane ki mujhe bhole-bhaale ho to de do mere shikwon ka jawab tum ne kya peshtar apna na banaya mujh ko phir yakayak na nigahon se giraya mujh ko ye agar jhut hai to munh se kaho chup kyun ho tu ne ek dil ko mere dars-e-mohabbat na diya aur phir jaan ke dagh-e-gham-e-furqat na diya ye agar jhut hai to munh se kaho, chup kyun ho tum ne kya mujh se kisi qism ka wada na kiya ye agar jhut hai to munh se kaho, chup kyun ho? de sake tum na mere ek bhi shikwe ka jawab ab main samjha ki hai kya raaz-e-ba-daman-e-hijab waqai tum ko nadamat hai jo khamosh ho tum ya kisi parda-e-taswir mein ru-posh ho tum!