riwayaton ka libas pahne guzishtagan ka nisab thame taraaziyat ke nigar-khanon mein bain karti ghutan-zada qafiyon radifon ke darmiyan muntashir khayalon ke bojh apne dil-e-hazin par uthae phirti hui ikai wufur-e-takhliq se pareshan qadam qadam fard fard hoti bikhar rahi hai usi ke juz hain jo is pe hawi hue to aise ki aap apni alag hi duniya basa rahe hain ajib duniya jo kahkashan se alag khadi hai jo apne mehwar pe dam-ba-khud hai magar wo aazurda kahkashan gardishon se ladti kai zamane guzar aai mukalme se mukashfe tak mushahide se muamle tak kai safar the kai padaw jahan wo diwana-war phirti rahi khalish kam hui na unwan hi ban saka aur khayal tashkil ke marahil mein gum raha