jab bhi chum leta hun un hasin aankhon ko sau charagh andhere mein jhilmilane lagte hain khushk khushk honton mein jaise dil khinch aata hai dil mein kitne aaine thartharane lagte hain phul kya shagufe kya chand kya sitare kya sab raqib qadmon par sar jhukane lagte hain zehn jag uthta hai ruh jag uthti hai naqsh aadmiyat ke jagmagane lagte hain lau nikalne lagti hai mandiron ke sine se dewta fazaon mein muskurane lagte hain raqs karne lagti hain muraten ajanta ki muddaton ke lab-basta ghaar gane lagte hain phul khilne lagte hain ujde ujde gulshan mein tishna tishna giti par abr chhane lagte hain lamha bhar ko ye duniya zulm chhod deti hai lamha bhar ko sab patthar muskurane lagte hain