hazar jhilmilate paikar riste pani mein aadi-tirchhi jhamakti bauchhaar ban gae har ek diwar aur dar se shajar shajar se nikal nikal kar khuli sadak par lahakte gate qadam qadam par diye jalate hasin nazmon mein dhal raha hai na jaane kya ho agar ye aalam tamam apna naqab ulat de na jaane kya ho jo sare asrar khul chuke hon yahi bahut hai kabhi kabhi jhilmilate paikar utha ke ghunghat jhalak dikha den