chyuntiyan kitni rondi gain aakhiri sans tak palat kar jhapatne ki ummid mein sar uthati rahin kitna be-muddaa hausla dekhte dekhte mit gaya rengti chyuntiyan jild ko chir kar khun mein mil gain mere aasab mein bijliyan ghul gain ab main koi aur hun ek ghayal darinda zakhm hi zakhm hain chahe apne hun ya dusron ke zakhm hi zakhm hain mujh pe ab koi hansta nahin sari basti hai sahmi hui log sab falsafe bandh kar bhag uthe main akela badi der tak khud pe hansta raha aaine se ye kahta raha ya to har dard ke koi mani hain ya phir kisi dard ke koi mani nahin