wo aati hai roz mere bahut qarib mujhe sahlati hai gudgudati hai utho utho main hairat aur khushi se use dekhti hun tum kab aain? abhi abhi to aai hun wo mere sine par apna sar rakh deti hai mere pistanon se khelti hai mere honton ko chusti hai meri naf ke niche bahut niche meri sans upar ki upar rah jati hai main kunwariyon ki tarah tilmilati hun bal khati hun wo mujhe uthati hai mere kapde ek ek kar ke utarti hai wo meri aankhon mein aankhen dal kar hansti hai uttho main badbadati rahti hun aisi hi be-sudh hairat se aur khushi se uttho wo meri gardan mein banhen dal kar kahti hai wo mujhe dur se dekhti hai aur canwas par meri madar-zad taswir banati hai main be-sudh padi rahti hun is dar se ki kahin wo chali na jae main use dubona chahti hun ek hi war par us par chadh daudna us par bilbila kar hamla karna main bhi chahti hun use aise hi apni giraft mein le aaun lekin is se pahle ki main harakat karun wo chham-chham karti khidki ya darwaze se bahar bhag jati hai main be-sudh hairat aur khauf se aur malamat se aankhen phade use dekhti rahti hun wo chali jati hai roz aisa hi hota hai