aao tumhein ek khel bataen chhota sa ek ganw basaen is mein khet aur bagh lagaen jab in baghon mein phal aaen sab aapas mein bant ke khaen aao tumhein ek khel bataen hukm hua is ganw ke andar dharti ka malik hai ishwar raja kisan sab us ke chaakar sab us aage sis nawaen aao tumhein ek khel bataen mil kar kar den hukm ye jari kahil rahna jurm hai bhaari aur hai pap bada bekari kaam karen jo wo sukh paen aao tumhein ek khel bataen ladne mein nahin koi burai ho jati hai man ki safai rahe na lekin sada ladai laden bhiden khud hi man jaen aao tumhein ek khel bataen dhons kisi ki ho na kisi par mukhiya sewak ek barabar kaam karen jo sab se badh kar 'zeb' wahi achchhe kahlaen aao tumhein ek khel bataen