mohabbat diary hargiz nahin hai jis mein tum likkho ki kal kis rang ke kapde pahanne kaun si khushbu lagani hai kise kya baat kahni kaun si kis se chhupani hai kahan kis ped ke sae tale milna hai mil kar puchhna hai kya tumhein mujh se mohabbat hai ye farsuda sa jumla hai magar phir bhi yahi jumla darichon aanganon sadkon gali kuchon mein chaubaron mein chaubaron ki tuti sidhiyon mein har jagah koi kisi se kah raha hai kya tumhein mujh se mohabbat hai mohabbat diary hargiz nahin hai jis mein tum likkho tumhein kis waqt kis se kis jagah milna hai kis ko chhod jaana hai kahan par kis tarah ki guftugu karni hai ya khamosh rahna hai kisi ke sath kitni dur tak jaana hai aur kab laut aana hai kahan aankhen milana hai kahan palken jhukana hai ya ye likkho ki ab ki bar jab wo milne aaega to us ka hath apne hath mein le kar dhanak chehre pe raushan jagmagati raqs karti us ki aankhon mein utar jaenge aur phir gulshan-o-sahra ke bichon-bich dil ki saltanat mein khak udaenge bahut mumkin hai wo ujlat mein aae aur tum us ka hath hathon mein na le pao na aankhon hi mein jhanko aur na dil ki saltanat ko fath kar pao jahan par guftugu karni hai tum khamosh ho jao jahan khamosh rahna hai wahan tum bolte jao nae kapde pahan kar ghar se niklo maile ho jao koi khushbu lagane ka irada ho to shishi hath se gir jae tum viran ho jao safar karna se pahle be-sar-o-saman ho jao mohabbat diary hargiz nahin hai aab-ju hai jo dilon ke darmiyan bahti hai khushbu hai kabhi palkon pe lahrae to aankhen hansne lagti hain jo aankhon mein utar jae to manzar aur pas-e-manzar mein shamen jalne lagti hain kisi bhi rang ko chhu le wahi dil ko gawara hai kisi mitti mein ghul jae wahi mitti sitara hai