jahan ko phir bataenge samundar bhap ban kar kis tarah udte hain aankhon se badan shaq hote hote kis tarah patal bante hain nafas ke shahr kaise reza reza khak hote hain masamon se ubal kar aasman kaise sulagte hain adam mashrum ban kar kaise khaliyon se ubharta hai ki ukhdi irtiqa ki bund mein sarshaar ye putle hamare do jahanon ka muqaddar sochne wale inhin baunon ki khatir lae hain ab hum sukut apna ki hum khamosh baithe hain ki larzan irtiqa ke rukh pe parda dalte hain hum ki ab bhi ruh se hir o shima khangalte hain hum