ai dakan ki sar-zamin ai qibla-e-hindostan tere zarre mehr hain teri zamin hai aasman azmat-e-mazi ka dil-afroz nazzara hai tu mashriq-e-tahzib ka pakiza gahwara hai to tere har pahlu mein hain ehsas ki bedariyan tere har manzar mein hain jazbaat ki sarshaariyan hai khizan na-ashna tere gulistan ki bahaar tujh pe hai saya-fagan daman-e-lutf-e-kirdgar tere dariya-e-karam ka josh gauhar-bez hai teri zar-afshan zamin ka faiz-e-mardum-khez hai jo jawahar tu ne chamkae hain apni khak se un ka sina bhar diya hai jalwa-e-idrak se wo 'wali' tera hi ek farzand hai khak-e-watan jis ki azmat ne kiya dehli mein aaghaz-e-sukhan ruh mein jis ne bhari urdu ke be-jaan jam mein kaif-e-ehsas-e-amal hai jis ke har paigham mein ek hayat-e-nau ata ki jis ne maujudat ko jis ne di ek ruh-e-taza qalb-e-ehsasat ko us faza-e-ab-o-gil ko nur jis ne kar diya zarre zarre ko jo ab tur jis ne kar diya soz ki ranginiyan barsaen jis ne saz se jagmaga utthe sitare jis ki har parwaz se jis ki fayyazi se har qatra samundar ho gaya jis ke naqsh-e-pa se har zarra munawwar ho gaya jo nahin hum mein magar hum yaad karte hain jise dil ke sherisitan mein aabaad karne lun jise mukhlisana yaad mein jis ki hai apna nam bhi yaad-e-mazi mein hai mustaqbil ka ek paigham bhi