koi pahad ye kahta tha ek gilahri se tujhe ho sharm to pani mein ja ke dub mare zara si chiz hai is par ghurur! kya kahna! ye aql aur ye samajh ye shuur! kya kahna! khuda ki shan hai na-chiz! chiz ban baithen! jo be-shuur hon yun ba-tamiz ban baithen! teri bisat hai kya meri shan ke aage zamin hai past meri aan-ban ke aage jo baat mujh mein hai tujh ko wo hai nasib kahan bhala pahad kahan jaanwar gharib kahan! kaha ye sun ke gilahri ne munh sambhaal zara ye kachchi baaten hain dil se inhen nikal zara! jo main badi nahin teri tarah to kya parwa! nahin hai tu bhi to aakhir meri tarah chhota har ek chiz se paida khuda ki qudarat hai koi bada koi chhota ye us ki hikmat hai bada jahan mein tujh ko bana diya us ne mujhe darakht pe chadhna sikha diya us ne qadam uthane ki taqat nahin zara tujh mein niri badai hai! khubi hai aur kya tujh mein jo tu bada hai to mujh sa hunar dikha mujh ko ye chhaaliya hi zara tod kar dikha mujh ko nahin hai chiz nikammi koi zamane mein koi bura nahin qudarat ke kar-khane mein