wo aaghosh jis mein pale aur pal kar jawan hum hue hain use chhodne ki tadabir karne mein masruf aise hue hain ki zindan se qaidi rihai ki rahon ki tamir karne mein mashghul hote hain jaise wo aaghosh jis mein jawan hum hue hain use chhod kar dur jaane ke ehsas se jo khushi mil rahi hai kisi bhi tarah is se kamtar nahin hai jo zindan se bahar nikalne mein mahsus hoti hai zindaniyon ko khush ka ye ehsas aisa nahin ki faqat ek hum tak hi mahdud ho ye khushi ghar ke diwar-o-dar mein bhi ghar kar gai hai man bahan bap bhai bhi gardan uthae hue apne ham-sayon se kahte phirte nazar aa rahe hain ki mera qamar bhi arab ja raha hai sharik-e-safar ki ragon mein bhi khushiyan uchhalne lagi hain wo raaton ki sab lazzaten bhul kar jaane wale ki taiyariyon mein bade chaw se munhamik ho gai hai ajab jaan-fiza hai ye hijrat ka manzar magar ye riwayat hai makke se yasrib ko jate hue mustafa aur sare sahabi bahut ro rahe the watan ki mohabbat inhen rokti thi judai jigar mein tabar bhaunkti thi wo hijrat ka manzar bada jaan-gusil tha magar aaj hijrat ka manzar badal sa gaya hai ye manzar to sach-much bada jaan-fiza hai magar aisa kyun hua hai yahan to mazalim ki wo sakhtiyan bhi nahin hain