hujum se bach ke sune sune khamosh raston pe chalne wala wo us zamane mein pa-pyaada musafirat ka amin rasta badal chuka hai nazar abas us ka naqsh manus raston par talash kar ke chaunkti hai mujhe khabar hai wo ja chuka hai wo ja-ba-ja rah mein ubharti shabih us ki nigah ki tishnagi ne misl-e-sarab ijad kar rakhi hai jab aakhiri bar us ko dekha to us ka rasta badal chuka tha har ek tariqa badal chuka tha hujum se bach ke chalne wala hujum ke sath chal raha tha jab aakhiri bar us ko dekha to umr bhar ki musafirat ke khilaf us ko sawar dekha aur us ke pahlu mein pa-pyaada hujum ko sogwar dekha