ab ke diwar mein darwaza rakhun ya na rakhun ajnabi phir na koi darpai-e-azar aa jae ek dastak mein meri sari fasilen dha jae ab ke diwar mein darwaza rakkhun ya na rakhun ek ahram na chun lun sifat-e-dud-e-harir koi aae to bas ek gumbad-e-dar-basta mile raaz-e-sar-basta mile lakh sar phode sada koi na mujh tak pahunche qasid-e-mauj-e-hawa koi na mujh tak pahunche ab ke diwar mein darwaza rakkhun ya na rakhun sare andeshe magar ek taraf ek taraf teri ummid jaane kis waqt idhar teri sawari aa jae ajnabi lakh koi meri fasilen dha jae mujh ko diwar mein darwaza lagana hoga