lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri ab to newyork mein ho subh khudaya meri teri rahmat se agar mera bhi wisa lag jae meri izzat meri shohrat mein izafa ho jae ho mera kaam har ek desi ke hatthe chadhna aadhi tankhwah par hans hans ke guzara karna zindagi ho meri ek bail ki surat ya-rab sola ghante main karun roz mashaqqat ya-rab mere allah immigration se bachana mujh ko jo ho mahfuz usi raste pe chalana mujh ko miyan 'hammad' bhi us mulk mein rahte hain kahin ho sake to kabhi un se bhi milana mujh ko