main un se puchhta hun: pul kaise banaya jata hai pul banane wale kahte hain: tum ne kabhi mohabbat nahin ki main kahta hun: mohabbat kya chiz hai wo apne auzar rakhte hue kahte hain: mohabbat ka matlab jaanna chahte ho to pahle dariya se milo ru-e-zamin par dariya se zyaada mohabbat karne wala koi nahin dariya apne samundar ki taraf bahta rahta hai ye supurdagi hai ye supurdagi bachpan hai aur bachpan bahisht lekin bahisht tak pahunchne ke liye ek jahannam se guzarna padta hai main puchhta hun jahannam kya hai? wo kahte hain: is sawal ka jawab darakhton ke pas hai koi bhi mausam ho wo apni jagah nahin chhodte unhen mitti se mohabbat hai unhen parindon aur chiyuntiyon se mohabbat hai jo un ke jism mein ghar banati hain 'ghar kya hai?' main puchhta hun? wo sab hansne lagte hain pahla mazdur kahta hai: apni aurat ki taraf jao har sawal ka jawab mil jaega