nigah-e-fusun-saz dil mein utar kar zamane se begana sa kar gai lahu qatra qatra nigahon se zanjir ban kar tapakta rahega ye tufani maujen yunhi kab talak mujh se aa aa ke takraengi aag kab tak jalegi dhuan kab talak yunhi uthta rahega ye kaise hua sare rishte faqat ek hi zat mein aa samae hamein naz hai ki hum ne wo sadiyon purani kahani dobara kahi hai ki ek qissa-e-kuhna ko phir se dohraya hum ne wo sadiyon purani kahani jise aaj ki daudti bhagti zindagi ne faramosh sa kar diya tha