fitrat ka husn-e-sahar-khez us ke raaz-e-be-karan be-panah hasin phul zinda chashme bahte dariya sabza-zar kohsar jangal aur sahra wadiyan ghatiyan athah samundar aur un mein aabaad duniyaen pur-asrar hairat-khaiz sehr-angez ek puri kaenat garajte baadal bijli ki lahren shafaq ufuq zamin se ugta aaftab chand ka jadu barish ki mashur-kun mausiqi naghme bikherte tuyur raqsan mor jharnon ka tarannum aur rawan-dawan ugti madum hoti hasin suraten khuda ke karname sar-chashme khushi ke sar-chashme masarrat ke